भारत की सर्वश्रेष्ठ आयुर्वेदिक हिन्दी वेबसाइट लखैपुर डॉट कॉम पर आपका स्वागत है

05 जुलाई 2016

Home remedy for acidity | एसिडिटी का घरेलू उपचार | Acidity aur hyperacidity ka herbal formula



Welcome doston!! Lakhaipur dot com se main hun Lakhaipuri

Acidity aur hyperacidity ko to aap jante  hi hain. Acidity hone par aapko kai tarah ki pareshani ho sakti hai jaise- seene me jalan hona, pet me jalan hona, gale me jalan, bechaini hona, ulti jaisa lagna, badhazmi, khana nahin pachna aur kabz waghairah.

Acidity door karne ke kayi tarah ke gharelu upay aur nuskhe aapne dekhe honge par jo formula aaj aap janenge wo bada hi asardar aur kamaal ka hai. 

TRIPHALA CHURNA KE FAYDE

Jab saari dawa fail ho gayi ho to bhi yah kaam kar jata hai iske powerful combination ki wajah se. Jab koi bhi allopathic antacid kaam nahin kare aur koi bhi gharelu nuskha kaam na karta ho wahan bhi ye dawa asar dikhati hai.

Acidity aur hyper acidity, gas, kabz, sine me jalan, khatti dakaar ana, bhook na lagna aur is se related jo bhi problem ho ise door karta hai ye formula jo main aaj batane ja raha hun. Pet ke ulcer me bhi ye formula kargar hai. Ise aap khud ghar par bana sakte hain. Ye ek Ayurvedic dawa hai jiska naam hai- 

Amlpittankat Churna

Ise banane ke liye aapko ye sari chiz chahiye- 

Kapoor kachri- 100gm
Saunf - 100gm
Kamalgatta - 100 gm
Mulhathi - 50 gm
Amla - 50 gm
Dhaniyan- 50 gm
Safed Chandan burada - 50 gm
Chhoti Elaychi - 50 gm
Meetha Soda - 50 gm


(Ye saari chiz jadi-buti bechne wale ke yahan se mil jayegi)

Ab jante hain ise banane ka tariqa-

Jo chizen abhi maine bataya hai in sabhi ko lekar koot-pis kar churn ya powder banana hai. Meetha soda to powder form me hi hota hai isliye ise alag rakhna hai aur last me sab ka powder banane ke baad mix karna hai.

HAZMA YA PACHAN SHAKTI THEEK KARNE KA FORMULA

Aur yahan bata doon ki Kamalgatta jo hai kaale rang ka gol-gol beej hota hai, jiska upri cover hard hota hai aur andar me beej ya giri hoti hai. Ise todne par giri nikalti hai. Is giri ka hi istemal karna hai upar ka hard cover phenk dena hai. Jaisa ki maine pahle bataya ki 100 gm kamalgatta milana hai to aapko 250 gm tak kamalgatta lena hoga to 100 gm tak isme se is ki giri nikal jayegi.

 Mulhathi ko kutna bhi asaan nahin hota. Iske chhote-chhote tukde kar kutna chahiye ya machine se grind karen, thori chimdi type ki hoti hai ye.

Ayurvedic dawa banane me thori mehant aur pareshani to hoti hai par fayda ye hai ki ye dawayen bimari ko jad se theek kar deti hain aur koi side effect nahin hota. 

Dose- kitna aur kaise istemal karna hai?

Is churn ya powder ko 1-1 chammach subah shaam paani ke saath lena hai. Problem zyada ho to subah-dopahar aur shaam 3 baar bhi le sakte hain. 1 chammach matlab 6 gm ek baar me khana hai.

Dawa ke saath-saath aapko kuchh parhez bhi karna chahiye tab hi jaldi aur zyada fayda hota hai. Sabse pahle to zyada tel wali tali chizen chhorna hoga. Mirch, tikhe aur masaledar khana, zyada chaai, fast food aur junk food se parhez rakhen.

BINA DAWA KABZ YA CONSTIPATION DOOR KAREN

Bhooke pet na rahen, chhachh aur doodh le sakte hain. Yoga aur halka exercise karen. Agar aapka kaam saare din computer ke samne baithna hai to yoga yaa physical exercise behad zaruri hai. Stress na hone den, tension free rahen.

Ummid karta hun ki is formula ka istemal kar aur in baton ko follow kar aap acidity aur hyper acidity se chhutkaara pa lenge.

 Is formula ke  bare me koi bhi sawal ho to comment se mujhse puchhiye. Jankari achhi lagi to is post ko share kijiye aur SUBSCRIBE kijiye nayi-nayi jaankari ke liye. Thank you. 


हमारे विशेषज्ञ आयुर्वेदिक डॉक्टर्स की टीम की सलाह पाने के लिए यहाँ क्लिक करें
Share This Info इस जानकारी को शेयर कीजिए
loading...

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें

 
Blog Widget by LinkWithin