भारत की सर्वश्रेष्ठ आयुर्वेदिक हिन्दी वेबसाइट लखैपुर डॉट कॉम पर आपका स्वागत है

30 नवंबर 2016

मुसली पाक के फ़ायदे | Musli Pak Ke Fayde


जैसा की नाम से ही पता चलता है मुसली पाक का मुख्य घटक सफ़ेद मुसली होती है
पुरुष यौन रोगों के लिए यह बेहतरीन दवाओं में से एक है. शीघ्रपतन, वीर्य विकार जैसे रोगों को दूर करने और वीर्य को गाढ़ा कर काम शक्ति बढ़ाने वाली आयुर्वेदिक औषधि है
आईये सबसे पहले जान लेते हैं कि इसमें क्या-क्या मिलाया जाता है

सफ़ेद मुसली, घी, चीनी, सोंठ, मिर्च, पीपल, बड़ी इलायची, दालचीनी, तेजपत्ता, शतावर, चित्रकमूल, गोखुरू, अश्वगंधा, हर्रे, लॉन्ग, जायफल, जावित्री, खरेंटी बीज, कौंच बीज, सेमल का गोंद, बंशलोचन, और अकरकरा जैसी जड़ी-बूटियों के मिश्रण से इस दवा को बनाया जाता है

मुसली पाक के फ़ायदे-

पावरफुल जड़ी बूटियों के मिश्रण से बनी यह दवा देसी वियाग्रा की तरह काम करती है वो भी बिना किसी साइड इफ़ेक्ट के

Sperm count को बढ़ाती है और इरेक्शन में मदद करती है

कामोद्दीपक है, शीघ्रपतन को दूर करती है और टाइमिंग को बढाती है

इसके इस्तेमाल से कमज़ोरी, भूख की कमी और खून की कमी दूर होती है

शरीर की ताक़त को बढाती है

खांसी और पुरानी बुखार में भी इस से फ़ायदा होता है

पौरुष शक्ति को बढ़ाकर प्रजनन क्षमता में सुधार करती है और स्वस्थ संतान प्राप्त करने में मदद करती है

मुसली पाक का डोज़-

6 से 12 ग्राम तक सुबह शाम गर्म दूध के साथ भोजन के बाद लेना चाहिए
लम्बे समय तक भी इसके इस्तेमाल से कोई प्रॉब्लम नहीं होती है

डाबर, बैद्यनाथ के अलावा पतंजलि का मुसली पाक भी प्रचलित है जो की हमारे देश में हर जगह मिल जाता है


दो दोस्तों, ये थी आज की जानकारी मुसली पाक के फ़ायदे के बारे में
इसका इस्तेमाल कीजिये और फ़ायदा लीजिये


loading...

गंगाधर चूर्ण दस्त और कोलाइटिस की आयुर्वेदिक दवा



जड़ी बूटियों से बनी दवा गंगाधर चूर्ण दस्त और कोलाइटिस के लिए एक प्रभावी शास्त्रीय आयुर्वेदिक दवा है

गंगाधर चूर्ण कई सारी जड़ी बूटियों के मिश्रण से बनाया जाता है इसमें मोथा, अरालुका, सोंठ, धातकी, लोध्र, बला, बिल्व, मोचरस, पाठा, इन्द्रजौ, कुटज, आम्रबिज, प्रतिविषा और लज्जालु मिलाये जाते हैं


गंगाधर चूर्ण के फ़ायदे- 

गंगाधर चूर्ण ग्राही और संकोचक गुणों से भरपूर है

इसके इस्तेमाल से दस्त में फ़ायदा होता है

कोलाइटिस और अल्सरेटिव कोलाइटिस के लिए यह असरदार दवा है, पेट में जमे आँव को निकाल कर पाचन शक्ति को ठीक कर देता है


गंगाधर चूर्ण का डोज़- 

3 से 6 ग्राम तक मधु या चावल के धोवन के साथ खाना खाने से पहले दिन में दो बार लेना चाहिए. बच्चों को कम मात्रा में देना चाहिए

यह सुरक्षित आयुर्वेदिक दवा है इसका कोई साइड इफ़ेक्ट नहीं होता

डाबर, बैद्यनाथ जैसी कई आयुर्वेदिक कंपनियां इसे बनाती हैं और हमारे देश में यह आयुर्वेदिक मेडिकल में हर जगह मिल जाता है, गंगाधर चूर्ण वृहत के नाम से भी कई आयुर्वेदिक कंपनियां इसे बनाती हैं. 


ऑनलाइन ख़रीदने के लिए यहाँ क्लिक करें

तो दोस्तों ये थी आज की जानकारी संक्षेप में गंगाधर चूर्ण के बारे में




28 नवंबर 2016

Majun Arad Khurma शीघ्रपतन, स्वप्नदोष की युनानी दवा | Majun Arad Khurma Jiryan Ki Dava


Aaj main bata raha hun purush rogon ki Yunani dava Majun Arad Khurma ke fayde aur istemal ke bare me

Jadi butiyon se bani yah Yunani dava hai jo khurma yani chhuhara ke alawa kayi dusri aushdhiyon ka mishran hai

Majun ka matlab hota hai halwe ki tarah bani huyi yunani dava

Majun Arad Khurma ke istemal se shighrapatan, erectile dysfunction, dhat girna aur swapndosh jaise purush rog door hote hain aur iske istemal virya gadha hota hai, shukranuon ki sankhya aur gatishilta badhti hai.

Ayie sabse pahle jante hain ki isme kya-kya milaya jata hai- 

Isme chhuhara ke alawa Jaiphal, Bisbasa, Qaranfal, Magze badam, Magze pambdana, Magze chilgoza, Shatawar, Magze Funduq, Babool gond, Sighara khushk ke alawa chini milaya jata hai aur Majun banane ki vidhi se iska majun banaya jata hai

Majun Arad Khurma Ke Fayde- 


Purush rogon ke liye yah sadharan si dikhne wali par asardar dava hai 

Yan natural tarike se purushon me sex ki ichha ko jagati hai aur performance ko sahi karti hai

Shighrapatan ya jald discharge hone ki problem ke liye bahut hi faydemand hai 
Low libido aur erectile dysfunction ko door karti hai

Blood flow ko badhakar ling me bharpoor tanav lane me madad karti hai aur astambhan shakti ko badhati hai


Swapndosh ko door karne me sahayak hai

Iske istemal se hazma yani pachan shakti theek hoti hai, gas door karti hai aur kabz ya constipation nahin hone deti

Majun Arad Khurma Ka Dose- 

Ise 1 chammach yani 10 gram tak doodh ke saath sone se pahle din me ek bar lena chahiye

Yah puri tarah se herbal Yunani Dava hai jiska koi side effect nahin hota. Heart aur blood pressure ke rogi bhi iska istemal kar sakte hain.


Hamare desh me Yunani dava company Hamdard ke alawa yah dusri yunani company ka bhi mil jata. Ise online bhi kharid sakte hain

To doston ye thi aaj ki jankari Yunani dava Majun Arad Khurma ke fayde aur istemal ke bare me. Ise online khardne ke liye diye gaye link par click karen- 

loading...

मूसली पावर एक्स्ट्रा के फ़ायदे, शीघ्रपतन दूर करे, आनंद बढ़ाये Musli Power Extra Ke Fayde


Musli power ayurved ki jani mani yaun shakti vardhak aushdhiyon ke mishran se bani yaun rogon ke asardar dava hai

Kunnath Pharma naam ki company ka yah special patent brand hai jo purush aur mahila dono ke liye hi asardar hai

Musli power extra josh aur junun jagati hai aur yaun sambhand me bharpur anand dene me madad karti hai

Ayiye sabse pahle jante hain ki isme kaun-kaun si jadi butiyan milayi gayi hain- 

Isme Safed Musli, Kapikachchu, Ashwagandha, Moringa, Amla, Gokshur, Jayphal, Kokilaksha aur shilajit jaise powerful jadi-butiyan aur khanij milaye gaye hain


Ayiye ab jante hain Musli Power Extra ke fayde- 

Shighrapatan aur astambhan sambandhi bimariyon ko door karta hai

Viry ko gadha karta hai aur viry ki matra ko badhata hai 

Shukranuon ki sankhya aur sakriyata ko badhata hai 

Timing ko badhata hai

Sharirik shakti ko badhata hai

Purush aur mahila dono me yaun ichha ko badhata hai 

Tanav se chhutkara dilata hai

Chusti aur furti lata hai aur thakawat ko door karta hai

Rakt sanchar ya blood flow ko badhata hai

Napunsakta ko door karta hai


Musli Power Extra ka dose- 

2 capsule sone se pahle pani ya halke garm doodh se 
Iska normal dose 45 dino ka hai 

Diabetes aur heart rogi aur motape se pidit logon ke liye 90 se 120 din tak lena chahiye

Napunsakta me 4-6 mahine tak lena chahiye 

Yah ek ayurvedic dava hai jiska koi side effect nahin

Company ka dava hai kayi logon ko is se fayda huva hai aur bahut hi asardar dava hai

Company ke mutabiq kayi sari research aur shodh se yah pramanit huva hai 

Iske nirmata company ka dava hai ki 50 lakh se zyada iske santusht grahak hain

Agar dekha jaye to iska composition ya milayi gayi davaon ke hisab se iski qimat kayi guna adheek hai

Dekhne se pata chalta hai ki company ne iske vigyapan par bahut adheek kharch kiya hai

To doston, ye thi aaj ki jankari Musli Power Extra ke bare me. Online khariden niche diye link se- 








loading...

23 नवंबर 2016

Himalaya Mentat के फायदे | Nervine Tonic For Brain Health and Memory Retention


Mentat naam ki Himalaya herbal ki dava dimaag ko shakti dene, memory power badhane aur bhoolne ki bimari ko door karne ke liye istemal ki jati hai
Iske alawa dimag ki kamzori, mirgi ya epilepsy me bhi iska istemal kiya jata hai

Bachchon ki learning skill aur yadasht badhane ke liye tatha bistar gila karne ki samasya door karne ke liye bhi iska istemal kiya jata hai

Dimag ko taqat deni wali jani mani jadi butiyon ke mishran se bani puri tarah se herbal dava hai

Kayi sari asardar jadi butiyon ke mishran se bana unique composition hai

Ayiye ek nazar dalte hain isme milayi jane wali jadi butiyon par- 

Isme milaya gaya hai 
Brahmi (Bacopa Monnieri)-
Mandukparni (Centella Asiatica, Gotu Kola)- 
Ashwagandha (Withania Somnifera)-
Vishnukranti (Evolvulus Alsinoides)-
Jatamansi (Nardostachys)-
Tagar (Valeriana Wallichii)-
Vayvidang (Embelica Ribes)- 
Badam (Prunus Amygdalus)-
Bach ( Acorus Calamus)- 
Amla (Indian gooseberry)-
Haritki ( Terminalia Chebula)-
Guduchi (Tinospora Cordifolia)- 
Jyotishmati ( Celastrus Paniculatus)- 
Shyonoka (Oroxylum indicum)-
Kapikachchu (Mucuna Pruriens)-
Elaychi (Cardamum)- 
Arjuna (Terminalia Arjuna)-
Saunf (Fennel seed)- 
Vidarikand (Ipomoea Digitata)-
Salabmisri (Orchis mascula)- 
Sonth ( Dry ginger)-
Baheda ( Terminalia belerica)-
Jayphal (Myristica Fragrans)-
Laung (Clove)
Mukta Pishti (Pearl)- 

In sari jadi butiyon ke churn aur bhavna ke saath Mukta Pishti yani moti mila hone se yah dava bahut hi asardar ban jati hai

Yahan main bata dena chahunga ki Himalaya Mentat ki kayi variety ati hai jaise- Mentat tablets, Mentat DS tablet,  Mentat Syrup, Mentat DS syrup aur Sugar free Mentat DS syrup 

Plain se DS zyada asardar hai aur sabhi ka composition almost same hai

Himalaya Mentat Ke Fayde-

Yah ek behtareen Ayurvedic nervine tonic hai jo dimag ko taqat deta hai aur dimag ko mazboot banata hai 


Short term memory ya bhoolne ki beemari ko theek karta hai. Mansik asthirta aur mansik shanti deta hai

Aj ki bhag daud bhari zindagi ke karan hone wali chinta aur tanav ko door karta hai

Yah ek behtareen anti oxidant bhi hai, nevous system ko mazboot banata hai

Bachchon ka mind sharp karta hai, yadasth theek karta hai aur padhai me tez banata hai, mansik ekagrata ko badhata hai

Chhote bachche jo sote huve bistar gila kar dete hain, unke liye bhi asardar hai 

Tunak mijazi, mood kharab rahna, turant gussa ho jana jaise mansik vikar ko door karta hai 

Epilepsy ya mirgi ki bimari me bhi iske istemal se fayda hota hai. Mirgi ke liye ek ayurvedic yog ke bare me agle kisi video me bataunga


Mansik thakawat aur zyada kaam karne ki wajah se hone wale tanav ko door karne ke liye asardar dava hai

Alzheimer, Parkinson jaise rogon me bhi iska istemal sahayak aushdhi ke rup me kiya jata hai 

Mentat Ka Dose -

1 se 2 tablet tak subah sham pani se
1 se 2 chammach tak iske syrup ko subah sham lena chahiye ya fir beemari ya chikitsak ke pramarsh ke anusar. Naye rogon me kam matra aur purane rogon me adheek matra ki zarurat hoti hai. Bachchon ko unki ayu ke anusar hi dava deni chahiye


Himalaya Mentat ayurvedic dava hai jiska istemal lambe samay tak kiya ja sakta hai koi side effect nahin hota puri tarah se safe dava hai

Himalaya ke products lagbhag puri duniya me mil jate hain, ise lene ke liye aap nazdiki pharmacy me pata karen. Agar nahi mile to online bhi purchase kiya ja sakta hai

To doston, ye thi aaj ki jankari Himalaya Mentat ke fayde aur istemal ke bare me. Online khariden niche ke link se- 








Watch here on YouTube



22 नवंबर 2016

द्राक्षासव के फायदे एक बेहतरीन आयुर्वेदिक टॉनिक | Benefits of Drakshasava


Drakshasava ek shastriye ayurvedic dava hai jo ek behtareen tonic hone ke saath saath kayi bimariyon ko door karta hai

Iske istemal se kamzori door hoti hai aur sharir ko taqat milti hai iske alawa gas, apach, piles, sar dard, khoon ki kami, piliya, khansi, saans ki problem aur bechaini jaisi samasya bhi door hoti hai

Ayurved matanusar yah aampachak aur tridoshnashak hai

Drakshasav jaisa ki naam se hi pata chalta hai ki iska mukhy ghatak 'Draksha' yani angoor ya kishmish hai

Drakshasava liquied form me syrup ki tarah hota hai, isme kishmish ke alawa kayi dusri jadi butiyan bhi milai jati hain jo is prakar hain- 

Mishri, Shahad, Dhatki, Kabab chini, Laung, Elaychi, Dalchini, Tezpat, Nagkeshar, Jayphal, Kalimirch, Chitrak, Chavya, Piplamul, Nirgundi vagairah

Asav arisht banane ki vidhi se sandhan ke baad iska nirman hota hai. Isme 5 se 10% tak self generated alcohal hota hai jo ise tezi se asar karne wala bana deta hai

Yahan main batana chahunga ki is natural alcohal ki wajah se koi nuksan nahin hota hai, har shastriye ayruvedic dava me kuchh percent natural alcohal hota hai


Ab ayiye jante hain Drakshasava ke fayde ke bare me- 

Drakshasava natural tarike se banayi gayi 100% herbal dava hai

Drakshasava kamzori ko door karta hai, sharir ko shakti deta hai aur digestion theek karta hai

Thakavat, laziness, bechaini, kisi kam me man nahin lagna, neend kam ana jaisi  problem ko door karta hai, chusti furti aur sharir ko tazgi deta hai

Iske istemal se pachan tantr mazboot banta hai. Gas, apach, badhazmi, seene ki jalan aur colitis jaisi problem door hoti hai

Liver ko mazboot banata hai, bhookh badhata hai aur kabz ya constipation ki problem ko door karta hai

Drakshasava ke prayog se bavaseer me bhi fayda hota hai, yah bleeding ko rokta hai aur bavaseer ko door karne me sahayak hai

Bukhar aur bukhar ke karan hone wali kamzori ko door karta hai, khoon ki kami ko door karta hai ji se anemia me fayda hota hai

Khansi me iske istemal se fayda hota hai aur swasan tantra ko mazboot banata hai. Har tarah ki khansi aur fefdon ki kamzori door karne ke liye Draksharishta zyada asardar hota hai

Drakshasava ka dose- 

15 se 30 mililiter tak adha cup pani me milakar khana khane ke turant baad subah sham lena chahiye

Bachche bade, budhe sabhi log iska istemal kar sakte hain par iska dose umar ke hisab se hona chahiye


Drakshasava kayi sari ayurvedic companiyan banati hain jo hamare desh bharat me har jagah ayurvedic medical me mil jata hai

Bharat ke bahar dusre deshon ke log ise online kharid sakte hain

To doston ye thi aaj ki jankari ayurvedic health tonic Drakshasava ke bare me

Agar aapko koi achhi ayurvedic tonic ki talash hai to yahi aapke liye best hai.

21 नवंबर 2016

विक्स वेपोरब के चमत्कारी फायदे | Vicks Vaporub Ke Chamatkari Fayde | Lakhaipurtv


Jaisa ki aap sabhi jante hi honge ki vick vaporup ka istemal sardi, khansi hone par karte hain. Nak band hone aur gala kharab hone par iska istemal kiya jata hai

Ye sab to iske normal prayog hain, aaj aap janenge vicks vaporup ke dusre kuchh chamatkari prayog

Vicks vaporub ayurvedic formule par bani herbal dava hai

Kapoor, Eucolyptus tail aur Menthol iska mukhy ghatak hai

Kil muhanson ko door karne ke liye bhi aap vick vaporup ka istemal kar sakte hain, ise din me kayi bar lagayiye aur fadya dekhiye

Machharon se bachne ke liye-


Machhar hamare desh ki samasyaon me se ek hai. Machhar ke katne se hi malaria bukhar jaisi beemari ho jati hai. Machhron se bachne ke liye sharir par, aur apne kapde apr vick vaporup lagayiye, machhar paas nahin ayenge

Fati aidiyon par bhi vicks ki malish karne se bahut fayda hota hai

Migraine me bhi agar mathe par vick vaporup ki malish ki jaye to dard me fayda hota hai

Jodon aur manshpeshiyon ke dard aur sujan me bhi vicks vaporub ki malish kijiye fayda milega. Ise kam se kam 5-10 minute tak malish karen

Fate aur sukhe honto par vicks vaporup sone se pahle lagane se fate honth theek ho jate hain

Mahilaon me garbhavastha ke baad hone wale stretch marks ko door karne ke liye bhi yah bahut asardar hai. 


Jaisa ki aapne dekha hoga preganancy ke samay pet ka size badhne se pet ke nichle hisse me dhaari wale nishan ho jate hain, in nishanon ko door karne ke liye vick vaporup ki malish kijiye
2-3 hafte me hi stretch mark door ho jate hain aur skin normal ho jati hai

Dad, khuji aur eczema hone par bhi iski malish kijiye aur fayda dekhiye

Kat, chhil jane ya kharonch lagne par bhi ise lagane se fayda hota

Sardi, khansi, zukam hone par ise paron ke talwon me lagakar moza pahan len, ise sone se pahle lagayen bahut fayda hota hai

Dry skin ya sukhi twacha walon ke liye yah moisturizer ki tarah kaam karta hai

Vicks vaporup ek aisi chiz hai jo hamare desh ke alawa duniya me har jagah mil jati hai, jise asani se lekar aap iska faya utha sakte hain


To doston, ye thi aaj ki jankari Vick Vaporub ke gharelu prayog ke bare me



मूली से बवासीर का इलाज | क्या आप जानते हैं मूली के इन फायदों को?



Muli ek aisi chiz hai jo duniya me lagbhag har jagah milti hai aur iska sabse zyada prayog salad ke rup me kiya jata hai

Iske alawa iski sabzi bhi banayi jati hai aur achar bhi banaya jata hai, muli ke parathe to aap jante hi honge

Muli ko angrezi me 'Radish' kahte hain jo ki hum sabhi is baat ko jante hain.

Ayurved ke anusar muli pitt aur kaf dosh ko door karti hai

To ayiye ab jante hain muli ke fayde ke bare me- 

Piles ya bavaseer ke liye-

Bavaseer kaisi bhi ho khuni ya baadi, dono tarah ki bavaseer ke liye muli bahut hi asardar hai. Muli ka juice bana kar pine se khoon ana band hota hai
Piles ki problem ho to roz muli ka istemal kisi bhi rup me karen, fayda milega. 

Gas ki problem, Bhookh na lagne aur khana hazam nahin hone par-

Muli ko agar kala namak laga kar khayenge to bhookh badhti hai aur pachan theek hota hai, jisi wajah se khana achhi tarah se hazam hota hai


Pet ki gas ko door karne ke liye muli ka juice ya muli ka salad khayiye

Muli digestive system ko theek rakhne me madad karti hai aur pet ke rogon se bachati hai

Piliya ya Jaundice hone par-

Jaundice hone par muli ke ras ka istemal karna chahiye, iske patton ki chatni banakar khane se bhi fayda hota.

Jaundice ke liye muli bahut hi asardar hai, sharir ke toxins ko nikal deta hai
Diabetes ke liye-

Diabetes ke rogiyon ke liye bhi muli faydemand hai. Muli ke patte sahit ise apne bhojan me shamil kijiye, roz kam se kam ek muli khayiye fayda milega

Peshab ki problem aur patthri ke liye- 

Agar kidney me patthri ho aur peshab saaf nahin ata ho to iske liye bhi muli kargar hai, muli ka juice pine se fayda hota hai


Muli gajar aur shaljam ke beej ka kadha banakar pine se patthri ghul-ghul kar nikal jati hai

High blood pressure ke liye- 

Muli anti hypertensive ka kaam karti hai aur blood pressure ko control rakhne me madad karti hai

High BP ke rogi muli ko apne bhojan me zarur shamil karen
Agar neend nahin ati ho to sone se pahle ek muli khane se achhi neend ane lagti hai

Motapa kam karne ke liye- 

Muli, gajar aur tamatar ke salad ko khane se vazan kam karne me sahayta milti hai. Vazan kam karne ke liye muli ko apne diet me shamil zarur karen

Khaj khujli aur twacha vikaron ke liye-

Muli khane se twacha vikar door hote hain aur chehra saaf hota hai. Agar khujli ki problem ho gayi ho to muli ko pis kar lagayen aur adha ghanta baad dho len, khujli theek ho jayegi

Danton ko chamakdar aur haddiyon ko mazboot banane ke liye-

Muli ke istemal se sharir ki haddiyan mazbut hoti hain aur daant chamakdar hote hain, muli me paye jane wale natural calcium ki wajah se

Ankhon ke liye-

Muli anti oxidant bhi hai aur isme paye jane wale vitamins ankhon ko swasth rakhte hain aur nazar ko tez banate hain


Muli khane se pet ke kide samapt ho jate hain

Kan dard hone par mulie ke ras ko halka garm kar kaan me dalne se fayda hota hai

To doston ye thi aaj ki jankari muli ke fayde ke bare me

16 नवंबर 2016

योनि टाइट करने के घरेलु उपचार | Yoni tight karne ke gharelu upchar

Dheeli yoni ki problem se duniya bhar ki mahilayen pareshan hoti hain aur chintit rahti hain

Par kuchh gharelu prayog se is samasya ko door kiya ja sakta hai
To ayiye jante hain dheeli yoni ko tight karne ke 3 gharelu prayog-

1. Aloe Vera

Aloe vera ya ghritkumari ke taze gude ko do chammach lekar yoni ke bahri aur andri bhag me lagaye. Apni ungli se halke-halke yoni ki dewar par malish karen, iski malish se yoni ke muscles tight ho jate hain aur kuchh dino ke lagatar prayog se yoni tight ho jati hai.


2. Amla

Amle ko pani me ubal kar chhan kar ek bottle me rakh len. Amle ke is kadhe se yoni ko subah sham dhoya karen

Iske istemal se yoni ka lachilapan door hota hai aur yoni tight ho jati hai, ise kam se kam 6 se 8 hafta tak use karna chahiye


3. Pudina

Ek mutthi pudina patti ko pani me boil kar len aur thanda hone den. Jab sahne yogy thanda ho jaye to ise ek tub me dalkar aisa baithen ki yoni dubi rahe aur iski garmi ka ahsas yoni ko

Dhyan rahe ki pani zyada garm na ho, 15-20 minute tak iska steam len
Sadharan sa yah prayog yoni ko tight karne me chamatkari prabhav dikhata hai.


Hamdard Arusak Yoni tight kare, fir se jawan bana de

Hamdard Zamad Shabab Cream Stan tight aur bada karne ki dava






loading...

सफेद मूसली के फायदे, शीघ्रपतन दूर कर असली मर्द बनाये | Safed Musli Ke Fayde


Safed Musli

Iska naam to aapne suna hi hoga, musli do tarah ki hoti hai safed aur kali

Safed musli ka istemal yaun rogon me kiya jata hai

Safed musli bahut hi prachalit aushdhi hai khaskar purush yaun rogon ko door karne aur yaun chhamta ko badhane ke liye

Yaun rogon ke alawa bhi kayi dusre rogon me bhi iske istemal se fayda hota hai

Safed musli ko angrezi me Chlorophytum, Indian Spider Plant aur White Musli ke naam se bhi jana jata hai

Ayurved ke anusar yah sex ichha jagane wala, yaun durbalta door karne wala rasayan ya tonic aushdhi hai

Isme antacid, anti cancer, anti inflammatory, anti arthritic, anti oxidant, cardio protective aur anti stress gun bhi paye jate hain

Ayurved ke alawa iska istemal Yunani aur Homeopathy chikitsa paddhti me bhi hota hai

Jiasa ki aap photo dekhkar samajh sakte hain ki yah ek tarah ka kand ya jad hoti hai, iska kand shatavar ke jaisa hi guchhon me hota hai


Sukhe huve iske kand ko hi davaon me istemal kiya jata hai 

Purush rogon me iske vyapak prayog ki wajah se iska demand bahut hai isi wajah se yah mahangi bhi hai

Jangalon ki katai ki wajah se yah ab jangalon me kam hi milti hai aur isi liye bade paimane par iski kheti ki jane lagi hai

Safed musli ugana hamare desh ke kisanon ke liye bahut achha vikalp hai

Safed musli kayi tarah ke prakritik poshak tatv aur khanij paye jate hain jiski
 wajah se yah sharir ko prayapt poshan dekar andar se mazboot banata hai 

Iske istemal se sex homone testesteron ka level badhta hai jiski wajah se sex ki ichha badhti hai, iske prayog se mahilaon me bhi sex ichha ko badhata hai

Safed musli ke prayog se sperm count bhi badhta hai aur viry ke dosh ko door kar viry ko gadha banata hai


Diabetes ke rogiyon ke liye bhi iska sevan faydemand hai, diabetes ke karan hone wali napunsakta ko door karta hai

Safed musli ka powder bana kar isme mishri milakar doodh ke saath kha sakte hain

Iske liye 100 gram safed musli ke powder me 100 gram mishri ka churna achhi tarah milakar rakh len

1 chammach(6 gram) is churna ko khakar upar doodh pi len, isi tarah se subah sham lene se sharir mazboot hota, yaun shakti badhti hai aur andar se sexual stamina ko badha deta hai

Is se sharir me shakti badhti hai aur aapka mood bhi achha rahta hai, sharir me blood flow ko badhata jis se sharir active rahta hai, badan dard aur thakawat ko door karta hai

Agar aap sirf safed musli ka istemal kar rahe hain to kam se 2-3 mahina iska use karenge tab hi pura fayda dikhega 

Shighrapatan ke liye- 

Purushon ke rog jaise shighrapatan, virya ka patlapan, erectile dysfunction jaise rogon ko door karne ke liye safed musli ke saath agar dusri 2-3 jadi buti aur milayi jayen to achha rahta hai aur zyada fayda hota hai 

Iske liye safed musli, shudh kaunch beej, asgandh aur talmakhana 
in char chizon ko barabar matra me lekar kut piskar churna bana len 

Is churna ko 1-1 chammach mishri mile huve doodh ke saath bhojan ke baad subah sham len

Iske niyamit prayog se andar se taqat aur mardangi ati hai aur viry gadha ho jata hai

Shighrapatan, erectile dysfunction, swapndosh, dhat rog jasie tamam pursh rog door hote hain

Agar aap iska lagatar istemal karenge to aapka swasth sudhar jayega aur apke stamina ko badha dega aur aap asli mard ban jayenge.


Patanjali Musli Pak Online Khariden

 
Waise to iska istemal har mausam me kar sakte hain, aajkal hamare dehs me jade ka mausam shuru ho gaya hai

Agar aap jade ke is mausam me 3-4 mahina tak istemal kar lenge to iska asar aapko pura saal dikhega

Duble patle logon ka wazan bhi iske istemal se badh jata hai, ajkal iska istemal body building ke liye bhi kiya jata hai 

Arthritis aur Joint pain ke liye-

Jodon ke dard aur sujan me bhi iske istemal se fayda hota hai, Osteo arthritis ke rogiyon ke liye faydemand hai

Astanpan karane wali mahilaon ke liye bhi faydemand hai, unka health maintain karta hai aur doodh badhata hai

Safed musli ka istemal swasth admi bhi kar sakta hai, jinko kaam shakti ki kami ya yaun durbalta ho unhe to adheek dinon tak sewan karna hi chahiye

Safed musli ka prayog ayurved ki anekon davaon me hota hai. Purush rogon ko door karne wali shastriye ayurvedic davaon me to iska samavesh hai hi

Musli pak nam ki ayurvedic dava me safed musli mukhy ghatak hai

Sukhi safed musli aap pansari ke yahan se le sakte hain, mahangi hone ki wajah se isme milawat bhi payi jati hai

Iska bana banaya churn Patanjali ya kisi dusri company ka bhi mil jata hai

Safed musli ke dose ka nirdharan ayu, bal, sharirik chhamta aur pachan shakti ke hisab se hi karna chahiye

Agar aap zyada matra me iska use karenge to pachegi nahin aur fayda nahin hoga

Safed musli ka koi side effect nahin hota, agar sahi matra me prayog kiya jaye

Iska istemal lambe samay tak bhi kiya ja sakta hai koi problem nahin hoti

To doston, ye thi aaj ki jankari Safed Musli ke fayde aur istemal ke bare me. Online Safed Musli khariden niche diye gaye link se- 


  



loading...

15 नवंबर 2016

बैद्यनाथ Vita Ex Gold हस्तमैथुन के कारण हुइ यौन दुर्बलता और शीघ्रपतन दूर करने वाला


Jane anjane me yuva varg kuchh galtiyan kar baithte hain, jiski wajah se age chalkar pareshaniyon ka samna karna padta hai.

Hastmaithun bhi waisi hi chiz hai jis se fayda kam aur nuksan zyada hota hai.

Hastmaithun ka nuksan shuru me to pata nahin chalta aur baad me jab pata chalta hai tab tak kaafi der ho chuki hoti hai.

Yah ek aisi adat hai jise chhor dena hi behtar hai

Kahte hain na ki agar aapka aapke man par control ho to kuchh bhi kar sakte hain, aur yah to ek chhoti si buri adat hai jise asani se chhor sakte hain.


Mobile ke is zamane me adhunik technology ne man ko bahut chanchal bana diya hai aur adhunik life style ki wajah se bhi yuvaon me sex ki problem bahut zyada payi ja rahi hai. 

In sab baton par zyada charcha na kar ayiye jante hain iske upay ke bare me 

Hastmaithun ya masturbation ki wajah se jinko bhi sexual problem ho gayi ho use door karne ke liye jani mani Ayurvedic company Baidyanath ki dava Vita ex gold capsule asardar dava hai.

Vita ex gold plus 100% ayurvedic dava hai jo power house ki tarah kaam karta hai aur aapke sharir ko bharpur energy deta hai.

Agar aap kayi sare gharelu prayog aur davayen khakar thak chuke hon to bhi yah asar dikhata hai.

Shighrapatan, swapndosh, impotency aur erectile dysfunction jaisi problem ko door karta hai.

Yah rasayan aushdhi hai jo sharir me oj, tej aur shakti ko badhati hai, yaun swasth ko sahi kar kisi bhi wajah se huyi yaun kamzori ko door kar deti hai.



Gold yani swarbhasma ki shakti se bharpoor powerful ayurvedic tonic hai.

Swarnbhasm ke alawa isme asgandh, shilajeet, keshar, safed musli, bang bhasm, abhrak bhasm, kaunch beej jaisi kayi sari powerful jadi buti aur  kayi sare khanij ka mishran hai jinka istemal sadiyon se sex problem ko door karne ke liye kiya jata hai.

Asgandh jise Ashwagandha bhi kaha jata hai ek janai mani aushdhi hai jiske istemal se deemag ko shakti milti hai, tanav door hota hai aur sharir ko andar se poshan dete huve sexual stamina ko badhata hai.

Shilajeet ek natural tonic hai jo sharir ko takat deta hai, iske bahut sare gun hain

Iski detail jankari apne channel par ek video me de chuka hun

Keshar jise zafran ke naam se bhi jana hai bahut hi powerful aushdhi hai, blood circulation ko badhati hai aur ling me bharpoor tanav lane me madad karti hai, sharir ko andar se shakti deti hai.

Safed musli sexual stamina badhane ke jani mani dava hai.

Kaunch beej ke gun to aap jante hi honge, kaunch beej sex kamzori ko door karta hai, sexual ichha jagata hai aur long lasting erection me madad karta hai, jis se shighrapatan nahin hota aur viry ko gadha karta hai.


Vita Ex Gold plus ke fayde- 

Sharir ko taqat deta hai, urja ki kami aur thakawat ko door karta hai

Hastmaithun ki wajah se hone wali yaun durbalta ko door karta hai

Yah sex angon ko mazbut karta hai

Isme padne wale ghatak khaskar nason ki kamzori ko door karte hain

Adhik sambhog ke karan hone wali kamzori ko bi door karta hai

Sharir aur dimag ko active banata hai aur sharir me nayi tazgi aur umang deta hai 

Aatmvishvas aur Sexual stamina ko badhata hai, sexual performance ko sudharta hai

Sex ki ichha ko jagata hai

Vita ex gold plus ka lagatar istemal apke sunahre lamhon me satisfaction aur khushi deta hai.

Vita ex gold capsule ka dose- 

1 se 2 capsule tak subah sham bhojan ke baad doodh ke saath lena chahiye.




Yah Ayurvedic dava hai jiska koi side effect nahin hai, lambe samay tak istemal kiya ja sakta hai.

Ise kam se kam 3 mahina tak lagatar istemal karne par hi sahi fayda dikhta hai.

Vita ex gold aur Vita ex gold plus do tarah ka yah capsule ata hai, Vita Ex Gold Plus zyada asardar hai.

Buy Online Vita ex capsule

     
Yahan ek aur baat batana chahunga ki Vita Ex ka massage oil bhi hai.


Agar Vita ex capsule ke saath iske tel ka bhi use kiya jaye to jaldi fayda milta hai.

Is tail ko 5-6 bund lekar ling par malish karen, ling me aur iska jad wale hisse me bhi jise pubic region kahte hain.

Iski malish subah sham kar sakte hain ya fir sambhog ke 1 ghanta pahle iski malish karen.

4 tarah ke tail ke mishran se bana yah bada hi powerful tail hai.




Isme Mall tail, Malkangni tail, Shreegopal tail aur Chandan ka tail milaya gaya hai.

Ling ki malish ke liye yah ek best tail hai, iski malish se ling me rakht ka pravah badhta hai ji se ling me bharpoor tanav ata hai.

Ling ki muscles strong hoti hai aur ling me kadapan ata hai, lose ling ko tight kar deta hai. 

Baidyanath company ka yah dono product Vita Ex gold plus capsule aur Vita ex massage oil Ayurvedic medical store me hamare desh me lagbhag har jagah mil jata hai.


Agar aap India se bahar kisi doosre desh me rahte hain to ise online kharid sakte hain.

To doston ye thi aaj ki jankari Baidyanath Vita Ex Gold ke fayde aur istemal ke bare me.





loading...

14 नवंबर 2016

10 दिन में 10 किलो वज़न कम करें | 10 din me 10 kg wazan kam karne ka chamatkari juice


Motape se pareshan logon ke liye aaj main bata raha hun ek asan sa gharelu prayog jiske istemal se aap wazan kam kar sakte hain

Motapa ek vishv vyapi samasya hai jis se lagbhag har desh ke log pareshan hain

Jo log khan-pan par control nahin rakhte aur apni sehat ka khyal nahin rakhte hain unka wazan badh jana aam baat hai

Agar khan-pan ko control karte huve kuchh gharelu upay apnaye jayen to asani se wazan ko kam kiya ja sakta hai

To ayiye jante hain ek asan sa gharlu prayog jiska istemal koi bhi asani se kar sakta hai

Iske liye aapko kuchh chizen chahiye hongi jaise- 

Karela, Karri patta, Dhaniya patti, Adrak, Lahsun, Nimbu aur Kala Namak
Ek medium size ka karela, 8-10 Kari patte, 1 mutthi tazi hari dhaniya patti, thoda sa adarak, 2-3 kali lahsun

Sabhi ko chhote-chhote tukde kar grinder me ek cup paani dalkar pis len aur iske baad chhan kar juice nikal len

Ab is juice me thoda nimbu ka ras dalen aur thoda sa kala namak powder

Achchi tarah mix kar subah subah khali pet din me sirf ek baar pina hai
Ise pine ke ek ghante baad nashta kar sakte hain


Sadharan sa dikhne wala yah juice wazan kam karne me behad asardar hai
Kayi rogiyon par prayog kar prabhavi paya hai

Bina dieting kiye iske istemal se wazan kam hone lagta hai aur sharir ka extra fat kam jata hai

Iska istemal sugar patient bhi kar sakte hain, koi problem nahin hoti balki karela mila hone se sugar me fayda hota hai

Jinko Diabetes, thyroid, hyperthyroid, blood pressure, kidney problem, gallstone ho unko wazan kam karne ke sath saath un beemarioyn me bhi fayda hota hai

Kidney aur gallbladder ki safai ho jati hai aur patthri ghul ghul kar nikal jati hai

Dhaniya patti behtareen anti oxidant hai aur body se fat kam karti hai, pachan shakti sudharti hai aur immunity level badhati hai, sharir ki garmi door karti hai aur toxins ko bahar nikalti hai

Dhaniya patti blood pressure ko normal karne ke liye faydemand hai

Skin theek hoti hai aur baal bhi mazboot aur kale hote hain kari patta ki wajah se. Agar taza kari patta nahin mil paye to sukha huva bhi use kar sakte hai


Adrak jo isme milana hai desi adrak hi len to zyada asar karega

Desi adrak chhote size ki hoti hai aur isme resha kam hota hai

Adrak pachan tantr ko theek karta hai, anti inflammatory hai aur wazan kam karne me madad karta hai

Kaf dosh ko door karta hai jo motape ka karan hota hai

Lahsun me pottasium hone ki wajah se fat kam karta hai aur wazan kam karne me sahayak hai

Lahsun ke bare me detail jankari apne channel par ek video me de chuka hun
Nimbu ka fayda kaun nahin janta, vitamin C se bharpoor sharir se atirikt vasa kam karne me madad karta hai

Kala namak mila dene se yah pachne me asani karta hai aur pet ki gas ko door karta hai

High blood pressure wale rogi kala namak milane se na daren, kala namak se blood pressure nahin badhta hai

Digestion theek hota, kabz ya constipation ki problem door hoti hai

Jin logon ko BP, sugar, thyroid aur kidney ki problem na ho to bhi is juice ko use kar sakte hain aur tezi se wazan kam kar sakte hain

Jaisa ki aap sabhi jante hi honge ki wazan kam karna koi asan kaam nahin hota hai

Aaj bataye gaye juice ka istemal kariye, ise use karne se pahle apna weight kara len aur kuchh din tak use karne ke baad dubara weight kara kar dekh sakte hain ki wazan kam ho raha hai ya nahin

Is juice ke istemal se kayi logon ko fayda huva hai, yah ek behtareen juice hai jis se koi nuksan nahin hota

Jaisa ki aap sabhi jante hi hain ki koi dava ke saath agar kuchh parhez kiya jaye to fayda jaldi milta hai

To iska istemal karte huve bhi oily aur fatty food ka itemal na karen aur ho sake to kuchh exercise, yoga, jogging, running waagairah karen

Pepsi, cola jaise soft drink ko avoid karenge to behtar hai


To doton, iska use kijiye aur apna experience batayiye commnet ke madhyam se